Hair tips - All tech hindi jankari

Breaking

alltechhindijankari07.blogspot.com

Author

BANNER 728X90

Tuesday, August 7, 2018

Hair tips

Chamakte or lehrate baalo ki khuahish har kisi ki hoti h or baalo ki khubsurti banaye rakhne me ham jaane anjane me ham aise chemical product ka use Kar lete h jisse hamare baal rukhe ho jaate h or aksar jhadne lagte h jise ham(hair fall problem) kehte h to aaye ham jaan lete k kon kon c problem ki waja se hamare baal jhadne lagte h or inko jhadne se kese roka jaye.






Baal jhadne k karan dhul mitti hoti h agar aap dhul mitti se baalo ko bacha kar rakhenge to aapke baal kam jhadne.

hard chemical shempoo or dai karne se baal rukhe ho jaate h or jade kamzor ho jati h jiski wajah se hair fall reason bante h!
Baalo ki condishining k liye ya baalo ko naya look dene k liye log aksar jel, hair spray ka use karte h jo chemical yukt hote h aise product baalo ko nuksan pohchate h!

Sharir k ango ki tarah baalo ko bhi vitamin, mineral,or protein ki zarurat hoti h,acchi diet na lene k karan bhi hair fall hone lagta h, baalo k jhadne k piche anuvanshik Karan bhi ho sakte h kisi vishesh jin ya kromosom k karan bhi 1 parivar k logo me baalo ka jhadna kramik rup se paya jata h bar - bar kanghi karne se baal tutne lagte h din me 2,3 bar se zada kanghi na kare.
Mahilao me baal jhadne k karan tanaw ya tantion bhi hoti h!


Baalo ko jhadne se rukne ka upay me batane ja raha hu...


1-Sabse pehle to aise shampoo,dai,oil se kinara kar le jisme ditergent,ya chemical ka adhik use hota h.
Nariyal oil,awla,badam,oliv oil,sarso oil in sab me se kisi 1 oil ka use kare ye puri tarah se natural hot Jo baalo ko mazbut banate h..


2-agar aapko rusi(dandruff) bhi h to aap neem k patto ko paani me ubal Kar unhe thanda kar le or usi paani se 1 hafta tak dhoye isse baalo ki rusi khatam hoti h or ganje pan se rokta h uske baad hafte me 1,2 baar neem k paani ka use kare baalo me neem ke fayde bohat h neem baalo k liye bohat accha anticeptic h..



3- baalo ko jaldi-jaldi colour karne se sache iske colour k alawa aap mehndi ka use kare mehndi me thoda sa sirka or baheda mila le.isse mehndi me kala pan bhi ayega or baalo ki chamakte bhi badegi..



4- dhul mitti se apne baalo ko bachaye rakhe bike par safar karte samay cap ka use kare...



5- agar aapka paachan thik nahi h to isse bhi baalo ki jad kamzor hoti h kyu ki baalo ka sidha sambandh pet se hota h islye apne Khan pan par dhiyan rakhe...




6- baalo ki condishining k liye dahi ka use kare baalo ko ghane or mazbut banane me dahi k bohat fayde h...



7- apne aahar me salad,ankurit ann or mussami ka use badha de kyu ki long hair growth k liye high protein diet ki bohat zarurat h...



8- isme batai gai baato ko 3 mahine Tak use karne se gire huye baal ane ki ummid bhi badh jati h...

No comments:

Post a Comment